mehnat se mil gayā jo safīne ke biich thā
dariyā-e-itr mere pasīne ke biich thā
āzād ho gayā huuñ zamān-o-makān se
maiñ ik ġhulām thā jo madīne ke biich thā
asl-e-suḳhan meñ naam ko pechīdgī na thī
ib.hām jis qadar thā qarīne ke biich thā
jo mere ham-sinoñ se baḌā kar gayā mujhe
ehsās kā vo din bhī mahīne ke biich thā
kam-zarfiyoñ ne zarf ko mazrūf kar diyā
jis dard meñ ghirā huuñ vo siine ke biich thā
haiñ mār-e-gañj maar ke bhī sab Dase hue
taqsīm kā vo zahr ḳhazīne ke biich thā
tūfān-e-bahr ḳhaak Darātā mujhe 'turāb'
is se baḌā bhañvar to safīne ke biich thā