ḳhvāhish-e-vasl ne ushshāq ko rusvā rakkhā
husn ne dilkash-o-ḳhush-rañg sarāpā rakkhā
apne kirdār ke dāġhoñ ko chhupāne ke liye
mere a.amāl pe tanqīd ko barpā rakkhā
mere nā-karda gunāhoñ kī numā.ish ke liye
mujh ko zindāñ meñ lagā kar baḌā taalā rakkhā
saaf inkār na karne ke badal zālim ne
merī dil-bastagī ko vāda-e-fardā rakkhā
kaun sī chiiz girānī kī bulandī pe nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq magar is daur ne sastā rakkhā
kar ke mahrūm unheñ āb-e-ravāñ se ham ne
naam be-āb guzargāhoñ kā dariyā rakkhā
apne qad se mirā qad dekhā nikaltā jo 'tuhūr'
kar ke sar merā qalam apnā sar ūñchā rakkhā