Rakhshan Hashmi

dil ki dhaDkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

dil kī dhaḌkan ulajh rahī hai ye kaisī sauġhāt ġhazal kī
tār-e-nafas par uñglī rakh dī chheḌ ke tum ne baat ġhazal kī
us kā chehra us kī āñkheñ ek qayāmat haa.e mohabbat
tasvīreñ ḳhud batlātī haiñ saarī tafsīlāt ġhazal kī
vahī kahānī dohrā.eñge vahī nishānī phir DhūñDeñge
aadam aur havvā se juḌī hai asl meñ talmīhāt ġhazal kī
saf.ha-e-dil par misra-e-tar kī shakl meñ aañsū girte haiñ
dard ke bādal chhāte haiñ to hotī hai barsāt ġhazal kī
havā hue vo din ki ġhazal kartī thī bas mahbūb se baat
vaqt kā manzar-nāma badlā badlī tarjīhāt ġhazal kī
chūlhe-chauke se be-zārī fikr-e-suḳhan a.asāb pe taarī
jāgte sote raah nihārūñ 'raḳhshāñ' maiñ ban raat ġhazal kī
Top Urdushayar.com