Rakhshan Hashmi

chalo tum bhi muqaddar aazma lo

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

chalo tum bhī muqaddar aazmā lo
hamāre naam kā sikka uchhālo
maiñ apne aap meñ dhañsne lagī huuñ
mujhe merī hī daldal se nikālo
guhar kam haiñ ḳhazaf-reze ziyāda
abhī kuchh aur dariyā ko khañgālo
chalo karte haiñ tajdīd-e-ta.alluq
purānī ranjishoñ par ḳhaak Daalo
mirā maazī mire dar par khaḌā hai
mujhe tum apne dāman meñ chhupā lo
bahut mushkil ghaḌī aa.ī huī hai
ghaḌī kī suuī ko aa kar sambhālo
tumhāre saath jiinā chāhtī huuñ
mujhe be-maut marne se bachā lo
bujhā sakte nahīñ ho aag jab tum
kam-az-kam aag meñ ghī to na Daalo
ta.assub kā dhuāñ dam ghoTtā hai
kahāñ mar-khap ga.e raushan ḳhayālo
tavajjoh chāhiye tum ko jo 'raḳhshāñ'
kabhī tum bhī kisī ko ghaas Daalo
Top Urdushayar.com