Rakhshan Hashmi

ja nahin sakti jidhar jaane ko ji chahta hai

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

jā nahīñ saktī jidhar jaane ko jī chāhtā hai
in dinoñ yuuñ hai ki mar jaane ko jī chāhtā hai
ghar meñ rahtī huuñ to bāhar kī havā khīñchtī hai
ghar se jab niklūñ to ghar jaane ko jī chāhtā hai
maiñ ne kab bāñdh ke rakhā hai tumheñ pallū se
tum chale jaao agar jaane ko jī chāhtā hai
ahd to thā ki na toḌūngī maiñ hadd-e-fāsil
aaj va.ade se mukar jaane ko jī chāhtā hai
terī āñkhoñ meñ to rahte hue ik umr huī
ab tire dil meñ utar jaane ko jī chāhtā hai
muddatoñ baad tirā qurb milā hai mujh ko
aaj har had se guzar jaane ko jī chāhtā hai
barq-raftār guzartī huuñ vahīñ se 'raḳhshāñ'
jis jagah merā Thahar jaane ko jī chāhtā hai
Top Urdushayar.com