Qateel Shifai

faraaz-e-be-KHudi se tera tishna-lab nahin utra

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
farāz-e-be-ḳhudī se terā tishna-lab nahīñ utrā
abhī tak us kī āñkhoñ se ḳhumār-e-shab nahīñ utrā
zarā maiñ soch luuñ kyā kaam us ko aa paḌā mujh se
kabhī vo bām-e-tanhā.ī se be-matlab nahīñ utrā
mirī pursish ko aa pahuñchā hasīñ banda koī varna
falak se aaj tak merī madad ko rab nahīñ utrā
sitārā sā nazar aatā hai uupar se jahāñ paanī
maiñ ḳhush-fahmī ke is gahre kueñ meñ kab nahīñ utrā
pashemānī ke ba.ad us ko girā.ūñ kaise nazroñ se
ki jab vo bevafā thā mere dil se tab nahīñ utrā
kabhī sartāj mujh be-tāj ko sahvan kahā us ne
abhī tak mere sar se nashsha-e-mansab nahīñ utrā
tamannā hai ki chheḌūñ naġhma-e-insāniyat lekin
'qatīl' ab tak mire a.asāb se maz.hab nahīñ utrā
Top Urdushayar.com