dekho aaqā kī galī aur vo rauza dekho
apnī nazroñ ko sukūñ baḳhsh do ka.aba dekho
maiñ dil-o-jān se rauze pe jhukī jaatī huuñ
dil pukāre hī chalā jaatā hai jalva dekho
mushkiloñ meñ bhī vahī ishq tujhe thā mai kā
ġham salāmat rahe ḳhushiyoñ kā farishta dekho
saare aalam meñ koī raushnī sī phūTī hai
saarī duniyā meñ koī nuur ubhartā dekho
aañkh vīrān pareshān rahā kartī hai
ik jhalak tum bhī yahāñ aao madīna dekho
zaḳhm bhī phūloñ kī mānind mahak uTTheñge
ik nazar merī taraf jān-e-masīhā dekho
mire aaqā kī aqīdat se kitābeñ raushan
aao aao mire mahbūb kā qissa dekho
tum ko har ḳhvāb kī ta.abīr milegī 'raḳhshāñ'
pahle sochoñ meñ basā kar vo aqīda dekho