Rakhshan Hashmi

sine mein liye jine ke arman hazaron

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

siine meñ liye jiine ke armān hazāroñ
mar jaate haiñ har din yahāñ insān hazāroñ
sab husn ko ma.asūm samajhte haiñ jahāñ meñ
aur ishq ke māthe pe haiñ bohtān hazāroñ
har zaḳhm ne baḳhshī hai jilā mere junūñ ko
qātil tirī shamshīr ke ehsān hazāroñ
lā-hāsilī āḳhir ko hai har chiiz kā hāsil
har naf.a ke pahlū meñ haiñ nuqsān hazāroñ
ik zabt kī dīvār sambhāle rahī mujh ko
har chand uThe mujh meñ bhī tūfān hazāroñ
kuchh baat to us shoḳh meñ aisī hai yaqīnan
phirte haiñ hathelī pe liye jaan hazāroñ
ai kaash mire sher pe kahtā koī 'raḳhshāñ'
qurbān tire sher par dīvān hazāroñ
Top Urdushayar.com