vo jo hotī thī fazā-e-dāstānī le gayā
ahd-e-nau ghar ghar se pariyoñ kī kahānī le gayā
aur le jaatā bhī kyā TuuTe hue rishte kā dukh
kāsa-e-dil se lahū āñkhoñ se paanī le gayā
us ko jaanā thā chalā jaatā magar jaate hue
chhīn kar mujh se vo apnī har nishānī le gayā
kyuuñ nahīñ khilte ab āñkhoñ meñ ravādārī ke phuul
kyā huā ye kaun rabt-e-darmiyānī le gayā
vo qalandar the so un ko saarī duniyā ek thī
chal diye uTh kar jahāñ bhī dāna-pānī le gayā
ik nazar meñ kar diyā mas.hūr kyā sāhir thā vo
munjamid kar ke mujhe merī ravānī le gayā
us ke aage rañg jitne the vo phīke paḌ ga.e
sab pe sabqat ek aks-e-za.afrānī le gayā
jitne dukh aa.e miTāne ko hamīñ ḳhud miT ga.e
kab koī 'raḳhshāñ' hamārī saḳht-jānī le gayā