hai vahī manzar-e-ḳhūñ-rañg jahāñ tak dekhūñ
maiñ faqat ek hī tasvīr kahāñ tak dekhūñ
niiñd TuuTī hai mire ḳhvāb kahāñ TuuTe haiñ
aks terā hī haqīqat se gumāñ tak dekhūñ
itnī vus.at se mirī qalb-o-nazar ko maulā
aañkh sahrā pe dharūñ āb-e-ravāñ tak dekhūñ
rut koī aa.e kabhī phuul khilāne vaalī
kab talak aag har ik sahn-o-makāñ tak dekhūñ
aa.ina hote hue apnā uruuj aur zavāl
matla.a-e-sub.h se maġhrib kī azaañ tak dekhūñ
baad allāh ke vo hai mirī shah-rag ke qarīb
kab mire dil kī sadā jaatī hai maañ tak dekhūñ
dil kī dahlīz hī se lauT gayā vo 'raḳhshāñ'
chāhtī thī maiñ jise jism se jaañ tak dekhūñ