jis taraf bhī dekhtī huuñ ek hī tasvīr hai
ai ḳhudā kyā vo mirī qismat meñ bhī tahrīr hai
is hathelī pe mohabbat kī lakīreñ haiñ bahut
haañ magar zanjīr meñ uljhā ḳhat-e-taqdīr hai
mere raste meñ khaḌī hai chiin kī dīvār sī
is taraf haiñ ḳhvāb mere us taraf ta.abīr hai
jaane kyuuñ meñhdī rachā rakkhī hai mere viir ne
jaane kyuuñ ham laḌkiyoñ ke paañv meñ zanjīr hai
ham to karte the mohabbat bhī ibādat kī tarah
ab khulā 'raḳhshāñ' mohabbat qābil-e-tāzīr hai