har qadam par na.ī dīvār uThāne vaale
baḌe aa.e mujhe tahzīb sikhāne vaale
tū hī har riñd kā qibla ho zarūrī to nahīñ
shahr meñ kam nahīñ āñkhoñ se pilāne vaale
koī is ḳhvāb kī ta.abīr batā saktā hai
roz aate haiñ mujhe ḳhvāb Darāne vaale
jis ko dekho hai vahī paikar-e-ālām yahāñ
kho ga.e jaane kahāñ hañsne hañsāne vaale
vaqt ke aage sipar Daale hue kaun haiñ ye
ham to the vaqt kī buniyād hilāne vaale
saat pardoñ meñ tujhe DhūñDh hī leñge 'raḳhshāñ'
chain se rahne kahāñ deñge zamāne vaale