Qateel Shifai

siskiyan leti hui ghamgin hawao chup raho

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
siskiyāñ letī huī ġhamgīñ havāo chup raho
so rahe haiñ dard un ko mat jagāo chup raho
raat kā patthar na pighlegā shuāoñ ke baġhair
sub.h hone tak na bolo ham-navāo chup raho
band haiñ sab mai-kade saaqī bane haiñ mohtasib
ai garajtī gūñjtī kaalī ghatāo chup raho
tum ko hai mālūm āḳhir kaun sā mausam hai ye
fasl-e-gul aane talak ai ḳhush-navāo chup raho
soch kī dīvār se lag kar haiñ ġham baiThe hue
dil meñ bhī naġhma na koī gungunāo chup raho
chhaT ga.e hālāt ke bādal to dekhā jā.egā
vaqt se pahle añdhere meñ na jaao chup raho
dekh lenā ghar se niklegā na ham-sāya koī
ai mire yaaro mire dard-āshnāo chup raho
kyuuñ sharīk-e-ġham banāte ho kisī ko ai 'qatīl'
apnī suulī apne kāñdhe par uThāo chup raho
Top Urdushayar.com