Rakhshan Hashmi

mohabbat to mohabbat hi nahin thi

Rakhshan Hashmi

Munger, Bihar, India

mohabbat to mohabbat hī nahīñ thī
haqīqat meñ haqīqat hī nahīñ thī
maiñ us kī chaa.e kī pyālī thī lekin
use piine kī jur.at hī nahīñ thī
bichhaḌne kā bhī ik apnā maza thā
magar mujh meñ ye himmat hī nahīñ thī
burā mat mānñā par sach yahī hai
tujhe merī zarūrat hī nahīñ thī
kise maiñ DhūñDhtī apnī ḳhushī meñ
tumhāre ġham se fursat hī nahīñ thī
hameñ dil chāhiye thā us ko daulat
hamāre paas daulat hī nahīñ thī
bichhaḌne kā ḳhayāl aatā bhī kaise
hamāre beach qurbat hī nahīñ thī
ki ham anmol the kahne kī had tak
hamārī qadr-o-qīmat hī nahīñ thī
ġhazal meñ jaan 'raḳhshāñ' kaise aatī
tire jazboñ meñ shiddat hī nahīñ thī
Top Urdushayar.com