Qateel Shifai

mehrban hum pe jo taqdir hamari hogi

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
mehrbāñ ham pe jo taqdīr hamārī hogī
aap kī zulf-e-girah-gīr hamārī hogī
umr-bhar aap hī dekheñge koī ḳhvāb-e-tarab
lekin us ḳhvāb kī ta.abīr hamārī hogī
aaj kī raat hai irfān-e-hijābāt kī raat
aaj har sham.a meñ tanvīr hamārī hogī
aaj phir vasl ke uḌte hue lamhe sun leñ
vaqt ke paaoñ meñ zanjīr hamārī hogī
kuchh bhī ho aap ke māhaul kā me.ār-e-hayāt
aap ke zehan meñ tasvīr hamārī hogī
tohmatoñ se hameñ degā ye jahāñ dād-e-vafā
ab isī Dhañg se tauqīr hamārī hogī
ek unvāñ meñ simaT ā.eñge sau naam 'qatīl'
dāstāñ jab koī tahrīr hamārī hogī
Top Urdushayar.com