Hasan Aziz

ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale

Hasan Aziz

ajiib haal hai sahrā-nashīñ haiñ ghar vaale
gharoñ meñ baiTh ga.e haiñ idhar-udhar vaale
navāh-e-jism nahīñ garche regzār se kam
yahāñ bhī ḳhitte ka.ī haiñ hare shajar vaale
agarche shor bahut hai dar-e-duā pe magar
zabāneñ band kiye baiThe haiñ asar vaale
hai rāh-e-jāñ yūñhī sunsān ek muddat se
na gard uḌī na dikhā.ī diye safar vaale
baġhair aañkh ke chehroñ kā ab chalan hai yahāñ
vo din ga.e ki huā karte the nazar vaale
abhī maiñ shahr ko sahrā banā.e detā huuñ
ki mere haath bhī kuchh kam nahīñ hunar vaale
simaT ke rah ga.e ab chand sā.atoñ meñ 'hasan'
yahī the kaam kisī vaqt umr-bhar vaale
Top Urdushayar.com