jo naqsh-e-barg-e-karam Daal Daal hai us kā
to dasht aag ugaltā jalāl hai us kā
dayār-e-dīda-o-dil meñ maiñ sochtā huuñ use
ki is se aage tasavvur muhāl hai us kā
adhūrī baat hai zikr-e-muqīm-e-shahr-e-junūb
har ik musāfir-e-rāh-e-shumāl hai us kā
badan ke dasht meñ us kī hī guuñj hai har sū
javāb us ke haiñ har ik savāl hai us kā
usī kā hai ye bharā shahr dasht-e-ḳhālī bhī
ye bhiiḌ us kī hai qaht-ur-rijāl hai us kā
maiñ sochtā huuñ ki tasvīr-e-ḳhāk ko merī
hazār rañg meñ rañgnā kamāl hai us kā
vo aa.ina bhī 'hasan' us ke fan kā jaadū hai
ye chehra bhī hunar-e-lā-zavāl hai us kā