kamāñ uThāo ki haiñ sāmne nishāne bahut
abhī to ḳhālī paḌe haiñ lahū ke ḳhāne bahut
vo dhuup thī ki huī jā rahī thī jism ke paar
agarche ham ne ghane saa.e sar pe taane bahut
abhī kuchh aur kā ehsās phir bhī zinda hai
navāh-e-jism ke asrār ham ne jaane bahut
ziyāda kuchh bhī nahīñ ek musht-e-ḳhāk se maiñ
zarā sī chiiz ko phailā diyā havā ne bahut
lagā huā huuñ udhar vaqt ko sameTne meñ
phisal rahe haiñ idhar haath se zamāne bahut
safar qayām se behtar nahīñ rahā ab ke
ki jā-ba-jā the mirī raah meñ Thikāne bahut
baḌī ajiib thī pichhlī ḳhamosh raat 'hasan'
mujhe rulāyā kisī daur kī sadā ne bahut