ik qissa-e-tavīl hai afsāna dasht kā
āḳhir kahīñ to ḳhatm ho vīrāna dasht kā
mujh ko bhī ġharq bahr-e-tamāsha meñ kar diyā
ab had se baḌhtā jaatā hai dīvāna dasht kā
tāvīz-e-āb ke sivā chāra nahīñ koī
āseb-e-tishnagī se hai yārāna dasht kā
tū ne shikast khaa.ī mahāz-e-qayām par
ab sikka-e-safar meñ de harjāna dasht kā
hotā nahīñ jo ḳhālī kabhī jām-e-āftāb
din bhar hī garm rahtā hai mai-ḳhāna dasht kā
ab zulmatoñ kā ḳhauf nahīñ ḳhāk-e-shahr kī
raushan hai sham-e-reg se kāshāna dasht kā
ādāb-e-munsifī se maiñ vāqif nahīñ 'hasan'
shahr-e-ḳhatā meñ kartā huuñ jurmāna dasht kā