Hasan Aziz

KHud par koi tufan guzar jaane ke Dar se

Hasan Aziz

ḳhud par koī tūfān guzar jaane ke Dar se

maiñ band huuñ kamre meñ bikhar jaane ke Dar se

ye log mujhe ḳhuun tājir na samajh leñ

maiñ teġh liye phirtā huuñ sar jaane ke Dar se

har saa.e pe aahaT pe nazar rakhtā huuñ shab bhar

bistar pe nahīñ jaatā huuñ Dar jaane ke Dar se

maiñ TūTne detā nahīñ rañgoñ tasalsul

zaḳhmoñ ko harā kartā huuñ bhar jaane ke Dar se

vo maañ mohabbat bulandī thī ki us ne

zinda na chhoḌā mujhe mar jaane ke Dar se

kuchh jiit meñ bhī fā.eda hotā nahīñ phir bhī

vo jañg nahīñ hārtā harjāne ke Dar se

afsurda 'hasan' haiñ mire lashkar ke sipāhī

us tak mire zaḳhmoñ ḳhabar jaane ke Dar se

Top Urdushayar.com