dekhūñ vo kartī hai ab ke alam-ārā.ī ki maiñ
hārtā kaun hai is jañg meñ tanhā.ī ki maiñ
bhuul baiThā huuñ ki aflāk bhī kuchh hote haiñ
apnī vus.at meñ milī mujh ko vo gahrā.ī ki maiñ
aaj tak apnī rihā.ī kī duā kartā huuñ
ab ke zanjīr havāoñ ne vo pahnā.ī ki maiñ
ḳhud ko paane lagā tanhā.ī kī tārīkī meñ
is qadar shoḳh huā rañg-e-shanāsā.ī ki maiñ
rañg-e-tābīr añdheroñ se uThā letā huuñ
kaun ḳhvāboñ ko atā kartā hai bīnā.ī ki maiñ
gosha-e-dasht meñ yūñhī to nahīñ baiThā huuñ
safar āsān karegā koī saudā.ī ki maiñ
us kī har baat pe īmān nahīñ rakhtā huuñ
kuchh to tahrīr pe ho hāshiya-ārā.ī ki maiñ
rakhne vaalā huuñ qadam qarya-e-shohrat meñ 'hasan'
hamla-āvar na kahīñ ho sag-e-rusvā.ī ki maiñ