jo bhī ġhuncha tire hoñToñ pe khilā kartā hai
vo tirī tañgī-e-dāmāñ kā gilā kartā hai
der se aaj mirā sar hai tire zaanū par
ye vo rutba hai jo shāhoñ ko milā kartā hai
maiñ to baiThā huuñ dabā.e hue tūfānoñ ko
tū mire dil ke dhaḌakne kā gilā kartā hai
raat yuuñ chāñd ko dekhā hai nadī meñ raqsāñ
jaise jhūmar tire māthe pe hilā kartā hai
jab mirī sej pe hotā hai bahāroñ kā nuzūl
sirf ik phuul kivāḌoñ meñ khulā kartā hai
kaun kāfir tujhe ilzām-e-taġhāful degā
jo bhī kartā hai mohabbat se gilā kartā hai
log kahte haiñ jise niil kañval vo to 'qatīl'
shab ko in jhiil sī āñkhoñ meñ khulā kartā hai