mere jaisā is duniyā meñ ho saktā hai kaun
jaise maiñ ne ḳhud ko Dhoyā Dho saktā hai kaun
dhul jaate haiñ ik din āḳhir jaise bhī hoñ daaġh
man kā mail aur mailī chādar dho saktā hai kaun
puurā chāñd aur jagmag taare yādoñ kī bārāt
is mausam meñ maḳhmal par bhī so saktā hai kaun
ḳhvāboñ kī ik bastī jis meñ sab hoñ ḳhush-auqāt
is bastī ko āsānī se kho saktā hai kaun
miTTī kā paanī se rishta shāyad hai kamzor
varna kisht-e-jāñ meñ kāñTe bo saktā hai kaun