Saifi Premi

KHushbu hai shararat hai rangin jawani hai

Saifi Premi

Ganaur, Haryana, India

1913
ḳhushbū hai sharārat hai rañgīn javānī hai
yādoñ ke paristāñ meñ shīshe kī kahānī hai
maazī kī haqīqat hai is daur meñ afsāna
siitā bhī kahānī hai mariyam bhī kahānī hai
dushman se ḳhatar vaalo lamhoñ pe nazar rakhnā
har lamha-e-hastī bhī talvār kā paanī hai
hoñToñ kā mahak uThnā āñchal kā Dhalak jaanā
in paak gunāhoñ kī tārīḳh purānī hai
is shoḳh ke matavālo rag rag se lahū māñgo
patthar pe ġham-e-dil kī tasvīr banānī hai
barsāt meñ bhīgā hai doshīza badan us kā
nāseh ko bhī bulvā lo ab aag meñ paanī hai
tārīḳh-e-badāyūñ meñ mārūf suḳhan-var haiñ
'saifī' kī nazar lekin girvīda-e-'fānī' hai
Top Urdushayar.com