Saifi Premi

KHwahish se kahin koi mahaul badalta hai

Saifi Premi

Ganaur, Haryana, India

1913
ḳhvāhish se kahīñ koī māhaul badaltā hai
dil sham.a kā jaltā hai tab mom pighaltā hai
dekheñ to charāġhoñ ko ab kaun bujhā.egā
tāqoñ meñ lahū apnā har raat ko jaltā hai
sochā hai ki kuchh din ko begāna hī ban jaa.eñ
ham apnā jise samjheñ begāna nikaltā hai
ab saḳht zarūrat hai mai-ḳhāna badalne kī
har lab ke liye saaqī paimāna badaltā hai
jis raah se vo guzreñ har gaam bahārāñ ho
ik jism nahīñ chaltā māhaul bhī chaltā hai
ai dost tire dar tak phailī haiñ kamīñ-gāheñ
dil ek musāfir hai girtā hai sambhaltā hai
ham hijr meñ jab jaage thī raat bahut 'saifī'
dīdār kā har mausam lamhāt meñ Dhaltā hai
Top Urdushayar.com