vo aariz gulābī vo gesū ghanere
isī samt haiñ dīda-o-dil ke phere
ujāle kī rūdād vo dil likhegā
ki jis dil se paspā hue haiñ añdhere
baḌā farq hai tere mere jahāñ meñ
idhar zulmat-e-shab udhar haiñ savere
kisī se kabhī āp-bītī na kahnā
umaD ā.eñge har taraf se añdhere
ḳhulūs-o-dil-o-jāñ mirī kam-nigāhī
fareb-e-musalsal bhī ehsān tere
vo ik va.ada-e-jām-e-sarshār-o-rañgīñ
vo ik shaam lekin hazāroñ savere
har ik fitna-gar dekh le rañg-e-'saifī'
isī āshiyāne meñ sukh ke basere