Farhat Shahzad

humse tanhai ke mare nahin dekhe jate

Farhat Shahzad

Pakistan

ham se tanhā.ī ke maare nahīñ dekhe jaate
bin tire chāñd sitāre nahīñ dekhe jaate
hārnā din kā hai manzūr magar jān-e-azīz
ham se gesū tire haare nahīñ dekhe jaate
dil phañsā bhī ho bhañvar meñ to koī baat nahīñ
rañj meñ Dūbte pyāre nahīñ dekhe jaate
jin ke pairoñ meñ samundar the jhukā.e nazreñ
un kī āñkhoñ meñ kināre nahīñ dekhe jaate
chhīn le merī samā.at kī basārat yā-rab
un laboñ par mire na.are nahīñ dekhe jaate
jin kī aahaT se bañdhī thī mire dil kī dhaḌkan
un nigāhoñ ke ishāre nahīñ dekhe jaate
tuur patthar thā mire dil ko dikhā apnī jhalak
phir ye kahnā ki nazāre nahīñ dekhe jaate
māh-e-kāmil bhī jise dekh ke sajde meñ gire
aañkh meñ us kī sitāre nahīñ dekhe jaate
Top Urdushayar.com