nayā ik zaḳhm khānā chāhtā huuñ
maiñ jiine ko bahānā chāhtā huuñ
rulā detī hai har sachchī kahānī
maiñ ik jhūTā fasāna chāhtā huuñ
mahak se jhuum uThe saarā jīvan
maiñ aisā gul khilānā chāhtā huuñ
mohabbat merī behad ḳhud-ġharaz hai
tujhe sab se chhupānā chāhtā huuñ
ye pāgal-pan nahīñ to aur kyā hai
maiñ sach-much muskurānā chāhtā huuñ
bahut ma.asūm thā vo daur-e-vahshat
maiñ phir jañgal basānā chāhtā huuñ
khaao ḳhvāb yā lahrāo sāġhar
maiñ ḳhud ko bhuul jaanā chāhtā huuñ
ḳhudāyā dard ko de aur shiddat
ki maiñ ab haar jaanā chāhtā huuñ
vo aa jaa.eñ to dil par ho na qaabū
vahī qissa purānā chāhtā huuñ
mire har dukh kā kāran haiñ ye āñkheñ
maiñ ye dīpak bujhānā chāhtā huuñ
koī shahzād ko mujh paas laa.e
maiñ us kā dukh baTānā chāhtā huuñ