shaam kahtī hai koī baat judā sī likkhūñ
dil kā isrār hai phir us kī udāsī likkhūñ
aaj zaḳhmoñ ko mohabbat kī atā ke badle
tohfa o tamġha-e-ahbāb-shanāsī likkhūñ
saath ho tum bhī mire saath hai tanhā.ī bhī
kaun se dil se kise vaj.h-e-udāsī likkhūñ
jis ne dil māñgā nahīñ chhīn liyā hai mujh se
aap meñ aa.uuñ to vo aañkh hayā sī likkhūñ
mujh pe ho jaa.e tirī chashm-e-karam gar pal bhar
phir maiñ ye donoñ jahāñ ''bāt zarā sii'' likkhūñ
dauḌtī hai jo mire ḳhuun meñ terī hasrat
dekh ā.īna use ḳhuun kī pyāsī likkhūñ
tujh se kyuuñ duur hai majbūr hai 'shahzād' tirā
paḌh sake tū to maiñ sachchā.ī zarā sī likkhūñ