hayāt ko tirī dushvār kis tarah kartā
maiñ tujh se pyaar kā iz.hār kis tarah kartā
thā merī saut pe pahra ''anā-sipāhī'' kā
maiñ apnī haar kā iqrār kis tarah kartā
use thā pyaar se baḌh kar ḳhayāl duniyā kā
ye jaan kar bhī maiñ isrār kis tarah kartā
tirā vajūd gavāhī hai mere hone kī
maiñ apnī zaat se inkār kis tarah kartā
mujhe ḳhabar thī tujhe dukh mileñge badle meñ
qubūl phir maiñ tirā pyaar kis tarah kartā
thā ham-safar bhī safar bhī jo merī manzil bhī
usī ko raah kī dīvār kis tarah kartā
jo ḳhud ko bechne baiThā thā kauḌiyoñ ke evaz
maiñ us ko apnā ḳharīdār kis tarah kartā