Farhat Shahzad

aankh ko jakDe the kal KHwab azabon ke

Farhat Shahzad

Pakistan

aañkh ko jakḌe the kal ḳhvāb azāboñ ke
maiñ sairāb khaḌā thā biich sarāboñ ke
tujh ko kho kar mujh par vo bhī din aa.e
chhup na sakā dukh pīchhe ka.ī naqāboñ ke
fikr kā tan kab Dhāñp sakī mad-hoshī tak
chhoḌ diye nashshoñ ne haath sharāboñ ke
umr inhī ke saath guzārī hai jānāñ
zaḳhm mujhe lagte haiñ phuul gulāboñ ke
ek savāl ne jab se mujh ko pahnā hai
sharminda haiñ saare rañg javāboñ ke
kis se pūchhūñ maiñ rasta ab tujh ghar kā
muñh takte haiñ ḳhālī varaq kitāboñ ke
jaane phir kab vaqt ye pal dohrā.egā
lag jā siine toḌ ke band hijāboñ ke
mulk meñ mere amn kī ḳhvāhish jān-e-man
bakrī jaise biich meñ sau qassāboñ ke
ḳhatm nahīñ 'shahzād' faqat tujh par taḳhlīq
ham bhī pyāre ḳhāliq haiñ kuchh ḳhvāboñ ke
Top Urdushayar.com