Farhat Shahzad

ranj ke hathon git KHushi ke likhwao to baat bane

Farhat Shahzad

Pakistan

rañj ke hāthoñ giit ḳhushī ke likhvāo to baat bane
toḌ ke ashkoñ kī zanjīreñ muskāo to baat bane
shor machātī āvāzoñ se toḌ ke rishta pal-do-pal
ḳhāmoshī kī sargoshī gar sun paao to baat bane
gulshan meñ to ḳhushbū har-sū rahtī hī hai gul-rut meñ
sahrāoñ meñ jānāñ ġhunche mahkāo to baat bane
mujh ko hiir sayāl se matlab aur na rāñjhe se kuchh kaam
toḌ ke bandhan rasmoñ kā tum aa jaao to baat bane
baat vafā kī dil vāloñ kī nagrī meñ hai aam bahut
shahr-e-butāñ meñ giit vafā ke gā paao to baat bane
god meñ ḳhushiyoñ kī har koī chain se sotā hai lekin
muuñd ke āñkheñ ġham bāñhoñ meñ lahrāo to baat bane
chāñd sitāre toḌ ke laanā afsānoñ kī bāteñ haiñ
mere liye to pyaar nazar meñ bhar laao to baat bane
Top Urdushayar.com