Farhat Shahzad

har ek chiz hai fani faqat hayat nahin

Farhat Shahzad

Pakistan

har ek chiiz hai faanī faqat hayāt nahīñ
ba-juz ḳhudā ke kisī ko yahāñ sabāt nahīñ
hayāt naam hī tabdīliyoñ kā hai jānāñ
badal ga.e ho jo tum bhī to koī baat nahīñ
karam hai ye mire do ek ḳhaas yāroñ kā
tabāhiyoñ meñ mirī dushmanoñ kā haath nahīñ
ki jaise dil nahīñ siine meñ dukh dhaḌaktā hai
jahāñ bhī jā.ūñ alam se kahīñ najāt nahīñ
ġhazab kā silsila thamne hī meñ nahīñ aatā
zarā sā pyaar hī māñgā thā kā.enāt nahīñ
maiñ zaḳhm zaḳhm sahī hausla to qaa.em hai
shikasta-hāl to huuñ par ye merī maat nahīñ
chalī ga.ī ho jo tum bhī to kyā gila tum se
yahāñ to yuuñ hai ki maiñ ḳhud bhī apne saath nahīñ
sahar bhī ghar mire 'shahzād' tīrgī laa.ī
qusūr-vār mirī jaan sirf raat nahīñ
Top Urdushayar.com