apnī āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb sajā.e rakkho
laakh tūfān uTheñ sham.a jalā.e rakkho
raat phir raat hai ik roz guzar jā.egī
sub.h kī aas azā.em meñ basā.e rakkho
ḳhvāhish-e-dil kī havā tez bahut hai yaaro
aag pindār kī siine meñ jalā.e rakkho
jītnā chāho to har maat saho hañs hañs kar
fikr-e-māyūs ḳhayāloñ se bachā.e rakkho
yuuñ zarā der ko dil se hī lubhā lete haiñ
baat to jab hai ki tā-umr lubhā.e rakkho
tum ne sach bolā hai maslūb tumheñ honā hai
apne kāñdhe pe salīb apnī uThā.e rakkho
gar ye chāho ki ayaañ karb na ho siine kā
jān-e-'shahzād' nigāhoñ se banā.e rakkho