Farhat Shahzad

do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam

Farhat Shahzad

Pakistan

do jhukī āñkhoñ kā pahuñchā jab mire dil ko salām
yuuñ lagā hai dopahar meñ jaise dar aa.ī ho shaam
us ke hoñToñ kā kiyā jab zikr mere sher ne
har samā.at ke laboñ se jā lagā labrez jaam
jaise sajde meñ koī gir kar na uTThe der tak
yuuñ girī āñkhoñ pe palkeñ sun ke ik kāfir kā naam
dukh kisī kā ho use dhaḌkan meñ apnī sīñch le
kis ne sauñpā hai mire dil ko ye pāgal-pan kā kaam
ab to jī meñ hai ki har dukh par lagā.ūñ qahqaha
ho ga.ī haiñ shahr meñ āñsū-bharī āñkheñ to aam
harf jaise ho ga.e saare munāfiq ek dam
kaun se lafzoñ meñ samjhā.ūñ tumheñ dil kā payām
is qadar jaldī bhī kyā 'shahzād' thī āḳhir batā
kyā bigaḌtā saath gar tū aur chaltā chand gaam
Top Urdushayar.com