āmir-e-aql se 'shahzād' baġhāvat kar leñ
aao us shaḳhs se iqrār-e-mohabbat kar leñ
kal na-jāne ki kise vaqt kahāñ le jaa.e
aaj pal-bhar hī sahī ḳhvāb haqīqat kar leñ
us ko tohmat se bachānā hai har ik qismat par
hañste rahnā hī chalo aaj se aadat kar leñ
kaun manzil ke liye lutf-e-safar ko kho.e
chalte rahne se hī tajdīd-e-rifāqat kar leñ
ham ne sab diip bujhā Daale haiñ imshab taaki
saath jo chal na sakeñ tark-e-mohabbat kar leñ