Qateel Shifai

haalat ki bhigi raat bhi hai jazbaat ka tez alaw bhi

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
hālāt kī bhīgī raat bhī hai jazbāt kā tez alaav bhī
maiñ kaun sī aag meñ jal jā.ūñ ai nukta-varo samjhāo bhī
har-chand nazar ne jhele haiñ har baar sunahre ghaav bhī
ham aaj bhī dhoka khā leñge tum bhes badal kar aao bhī
girdāb ke ḳhūnīñ halqoñ se jab khel chukī hai naav bhī
patvār badalnā kyā ma.anī? mallāhoñ ko samjhāo bhī
be-kaif jhakole kāñToñ ko shādāb to kyā kar pā.eñge
jo phuul paḌe haiñ rāhoñ meñ un phūloñ ko mahkāo bhī
ham se to jafāoñ ke shikve tum hañs kar chhīn bhī sakte ho
ham dil ko pashemāñ kar leñge tum pyaar se aañkh jhukāo bhī
gul-rañg charāġhoñ kī lau se tārīk ujāle phuuT bahe
har taaq meñ ghor añdherā hai is rañg-mahal ko Dhaao bhī
Top Urdushayar.com