ek bas tū hī nahīñ mujh se ḳhafā ho baiThā
maiñ ne jo sañg tarāshā thā ḳhudā ho baiThā
uTh ke manzil hī agar aa.e to shāyad kuchh ho
shauq-e-manzil to mirā ābla-pā ho baiThā
maslahat chhīn lī hai quvvat-e-guftār magar
kuchh na kahnā hī mirā merī ḳhatā ho baiThā
shukriya ai mire qātil ai masīhā mere
zahr jo tū ne diyā thā vo davā ho baiThā
jān-e-shahzād ko min-jumla-e-a.adā pā kar
huuk vo uTThī ki jī tan se judā ho baiThā