Farhat Shahzad

jab tak charagh-e-sham-e-tamanna jale chalo

Farhat Shahzad

Pakistan

jab tak charāġh-e-shām-e-tamannā jale chalo
do-chār hī qadam hai ye rasta chale chalo
is had ke ba.ad koī nahīñ darmiyāñ meñ had
tai kar chuke ho aur jo sab marhale chalo
be-ḳhvāb ''ḳhūn-āñkh'' meñ dafnā ke zaḳhm-e-ḳhvāb
milne ko hai sahar se ye shab bhī gale chalo
shāyad vo DhūñDhtā ho tumheñ jis kī khoj hai
chehre pe jazb-e-dil ke ujāle male chalo
haiñ bādbāñ shikasta muḳhālif havā magar
jab tak na dil meñ aas kā sūraj Dhale chalo
phir kaun naaz us ke uThā.egā bazm meñ
tanhā.iyoñ ko apne hī ham-rāh le chalo
āñkhoñ meñ ḳhvāb aag ragoñ meñ javān azm
'shahzād' ab kahāñ haiñ vo sab silsile chalo
Top Urdushayar.com