maiñ apne-āp se barham thā vo ḳhafā mujh se
sukūñ se kaise guzartā ye rāsta mujh se
ġhazal sunā ke kabhī nazm gungunā ke mirī
vo kah rahā thā mire dil kā mājrā mujh se
guzar ke vaqt ne gūñgā banā diyā thā jinheñ
vo lafz maañg rahe haiñ na.ī sadā mujh se
na gul kī koī ḳhabar hai na baat gulshan kī
ḳhafā sī lagtī hai kuchh roz se sabā mujh se
vo jis ne ḳhvāb mire pal meñ qatl kar Daale
ḳhirāj māñgne aayā hai ḳhuun kā mujh se
niyāz-mand rahā maiñ bhī us kā sab kī tarah
ki koī bhāñp na le us kā silsila mujh se
aziiz mujh ko haiñ tūfān sāhiloñ se sivā
isī liye hai ḳhafā merā nāḳhudā mujh se
na jaane kaun sī mahfil meñ kis ke saath huuñ maiñ
hai munqat'a mirā apnā bhī rābta mujh se
bas ek baar nazar bhar ke maiñ ne dekhā thā
nazar milā na sakā phir vo be-vafā mujh se