Qateel Shifai

sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
sadma to hai mujhe bhī ki tujh se judā huuñ maiñ
lekin ye sochtā huuñ ki ab terā kyā huuñ maiñ
bikhrā paḌā hai tere hī ghar meñ tirā vajūd
bekār mahfiloñ meñ tujhe DhūñDtā huuñ maiñ
maiñ ḳhud-kushī ke jurm kā kartā huuñ e'tirāf
apne badan kī qabr meñ kab se gaḌā huuñ maiñ
kis kis kā naam lā.ūñ zabāñ par ki tere saath
har roz ek shaḳhs nayā dekhtā huuñ maiñ
kyā jaane kis adā se liyā tū ne merā naam
duniyā samajh rahī hai ki sach-much tirā huuñ maiñ
pahuñchā jo tere dar pe to mahsūs ye huā
lambī sī ek qatār meñ jaise khaḌā huuñ maiñ
le mere tajraboñ se sabaq ai mire raqīb
do-chār saal umr meñ tujh se baḌā huuñ maiñ
jaagā huā zamīr vo ā.īna hai 'qatīl'
sone se pahle roz jise dekhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com