shikva nahīñ hai is kā ki tum ne bhulā diyā
achchhā kiyā ki raah kā patthar haTā diyā
ġham ko nashāt-e-zīst kā unvāñ banā diyā
us ne mirī vafā kā ajab sā sila diyā
yuuñ hans ke us ne toḌ diyā rishta-e-ummīd
jaise kisī ne ret pe likkhā miTā diyā
duniyā kī kam-nigāhī ke shikve ke saath saath
ye sochiye ki aap ne duniyā ko kyā diyā
kuchh ham hī shab-gazīda ujāloñ se Dar ga.e
duniyā ne to adab se hameñ rāsta diyā
maiñ vo charāġh-e-bazm-e-tamannā huuñ dosto
jis ko sahar se pahle havā ne bujhā diyā