kis sādgī se chhoḌ diyā hai bahāv par
hālāñ ki ham savār haiñ kāġhaz kī naav par
ham khilkhilā ke hañste haiñ har taaza ghaav par
kuchh log mo'tariz haiñ isī rakh-rakhāo par
ye aag bhī unhīñ kī lagā.ī huī to hai
jo log haath taap rahe haiñ alaav par
shahr-e-suḳhan kā tarz-e-tijārat ajiib hai
bikte haiñ fikr-o-fan bhī to miTTī ke bhaav par
rahzan haiñ ahl-e-qāfila haiñ aur gard-e-rāh
rahbar ko chhoḌ aa.e haiñ pichhle paḌāv par
ham bekasoñ pe itnā munāsib nahīñ hai zulm
chīñTā bhī kaaT letā hai akasr dabāv par
mumkin nahīñ hai ishq kī baazī ko haar jaa.eñ
dil jaisī chiiz ham ne lagā.ī hai daav par
vo shaḳhs zindagī kī bulandī na chhū sakā
vo jis kā saañs phuul gayā ho chaḌhāv par
'ishrat' ḳhulūs-o-mehr-o-vafā dostī kī laaj
biktī haiñ saarī chīzeñ yahāñ ek bhaav par