le kar koī paiġhām kabūtar nahīñ aate
ab ġham bhī tirā ruup badal kar nahīñ aate
kuchh boriyāñ aisī haiñ jo beroñ se ladī haiñ
par un pe kisī or se patthar nahīñ aate
har sub.h to khilte nahīñ nargis ke hasīñ phuul
har roz to gulshan meñ payambar nahīñ aate
har shaḳhs liye phirtā hai hāthoñ meñ saroñ ko
hāthoñ meñ nazar ab kahīñ ḳhanjar nahīñ aate
bīmār kahīñ ho na paḌosī chalo dekheñ
ab raat meñ us samt se patthar nahīñ aate
qad apnā baḌhā lete haiñ baisākhī lagā kar
jo log mire sar ke barābar nahīñ aate
uTh jaate haiñ be-sāḳhta paañv tirī jānib
ham dar pe tire soch-samajh kar nahīñ aate
darvāza bhulā detā haiñ ik din unheñ 'ishrat'
jo log ki rātoñ meñ bhī ghar par nahīñ aate