Ishrat Kiratpuri

milo to aise andheron ko bhi pata na lage

Ishrat Kiratpuri

milo to aise añdheroñ ko bhī pata na lage
chalo to aise ke jismoñ meñ fāsla na lage
maiñ aaj gaañv meñ chhoḌe to jā rahā huuñ tumheñ
duā karo ki mujhe shahr kī havā na lage
ḳhudā vo vaqt na laa.e hamāre bachchoñ par
ki jis ghaḌī unheñ maaoñ kī bhī duā na lage
maiñ us kā zikr kisī aur se nahīñ kartā
kahīñ ye merā ravayya use burā na lage
ye tai kiyā hai ki aisā fasāna likkhūñgā
vo bevafā kisī jumle se bevafā na lage
biThā gayā thā koī aise peḌ ke nīche
ki jis kā ek bhī patta mujhe harā na lage
atā kiye haiñ yuuñ hī us ne rat-jage 'ishrat'
ye zindagī mujhe ḳhvāboñ kā silsila na lage
Top Urdushayar.com