Ishrat Kiratpuri

barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai

Ishrat Kiratpuri

barsoñ tapish-e-ġham meñ ye ehsās jale hai
tab jā ke kahīñ sher ke sāñche meñ Dhale hai
kuchh aise terī bazm meñ baiThā huuñ akelā
jis tarah sar-e-rāh koī sham.a jale hai
allāh kisī shaḳhs ko rusvā na kare yuuñ
mujh se mirā saaya bhī to ab bach ke chale hai
is manzil-e-dushvār se hans hans ke guzar jā
pagle kahīñ rone se shab-e-hijr Dhale hai
har roz nayā ruup badaltī hai terī yaad
aahoñ meñ Dhale hai kabhī ashkoñ meñ Dhale hai
har shahr meñ hone lagī añgusht-numā.ī
rusvā.ī mirī mujh se bhī kuchh aage chale hai
ik roz use TuuT hī jaanā thā bahar-hāl
dil toḌ ke tū kyuuñ kaf-e-afsos male hai
Top Urdushayar.com