sahn-e-maqtal meñ har ik zaḳhm-e-tamannā rakh do
aur qātil kā nayā naam masīhā rakh do
ab to rusvā.ī kī had meñ hai merī tishna-labī
ab to hoñThoñ pe dahaktā huā sho.ala rakh do
kitnī tārīk hai shab mere makāñ kī yāroñ
in muñDeroñ pe koī chāñd sā chehra rakh do
ab kī bārish meñ mirā naam chamak jā.egā
laakh tum ret kī tah meñ mirā katba rakh do
phir bhī haq baat ke kahne se na ba.az ā.ūñgā
mere hāthoñ pe bhale daulat-e-duniyā rakh do
niiñd sī aane lagī zulf ke saa.e meñ mujhe
phir mire ḳhvāboñ pe taptā huā sahrā rakh do
mere afsāne ko phir moḌ nayā sā de do
aur unvān sulagtā huā lamha rakh do
jo samajhte hī nahīñ merī zabāñ ko 'ishrat'
un ke afkār meñ merā lab-o-lahja rakh do