āñkhoñ meñ mire ġham kī tasvīr sañjo loge
ye baat na sochī thī dāman ko bhigo loge
tum tark-e-ta.alluq ko kyuuñ chehre pe likh laa.e
tum ne to kahā ye thā ye raaz na khologe
jab merā pata tum se pūchheñge galī vaale
kuchh kah to na pāoge palkoñ ko bhigo loge
sach-much ye batāo tum kyā mujh se bichhaḌ kar bhī
in hijr kī rātoñ meñ ārām se so loge
is bhiiḌ meñ logoñ kī maiñ ro bhī nahīñ saktā
ik tum ho ki chupke se tanhā.ī meñ ro loge
ye kaun hai jo 'ishrat' hai mere ta.āqub meñ
itnī baḌī duniyā meñ kis kis ko TaTologe