Ishrat Kiratpuri

awwalin shart hai insan ka insan hona

Ishrat Kiratpuri

avvalīñ shart hai insān kā insāñ honā
ba.ad kī baat hai hindū yā musalmāñ honā
jo bhī aatā hai vo kaliyoñ ko masal jaatā hai
ik hasīñ khel hai gulshan kā nigahbāñ honā
ahl-e-dānish ne kabhī ḳhvāb meñ sochā bhī na thā
jurm ban jā.egā is daur meñ insāñ honā
adl hai maslahat-e-vaqt ke panje se asiir
saḳht mushkil hai yahāñ sāhab-e-īmāñ honā
jashn-e-be-chārgī jis vaqt manāte hoñ avaam
nā-munāsib sā hai us vaqt ġhazal-ḳhvāñ honā
ban gayā jehl ke baḌhne kā sabab ai 'ishrat'
yak-ba-yak ilm kī sham.a kā farozāñ honā
Top Urdushayar.com