us adā se bhī huuñ maiñ āshnā tujhe itnā jis pe ġhurūr hai
maiñ jiyūñgā tere baġhair bhī mujhe zindagī kā shu.ūr hai
na havas mujhe mai-e-nāb kī na talab sabā-o-sahāb kī
tirī chashm-e-nāz kī ḳhair ho mujhe be-piye hī surūr hai
jo samajh liyā tujhe bā-vafā to phir is meñ terī bhī kyā ḳhatā
ye ḳhalal hai mere dimāġh kā ye mirī nazar kā qusūr hai
koī baat dil meñ vo Thaan ke na ulajh paḌe tirī shaan se
vo niyāz-mand jo sar-ba-ḳham ka.ī din se tere huzūr hai
mujhe deñgī ḳhaak tasalliyāñ tirī jāñ-gudāz tajalliyāñ
maiñ savāl-e-shauq-e-visāl huuñ to jalāl-e-sho.ala-e-tūr hai
maiñ nikal ke bhī tire daam se na girūñgā apne maqām se
maiñ 'qatīl'-e-teġh-e-jafā sahī mujhe tujh se ishq zarūr hai